|
| |
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
| |
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
| |
|
Mein chota sa ek larhka hoon
Par kaam karoon ga barhay barhay
Jitnay bhi larhakay larhkay hain
Main sub ko ek banaoon ga
Bikhray huay jo humjholi hain
un sub ko ek banaoon ga
Sub aapas main mil jaein gay
jo rastay hain ab narhay narhay
Mein chota sa ek larhka hoon
Par kaam karoon ga barhay barhay
Yeh ilm ki jo hai roshnian
Main ghar ghar main lay jaoon ga
Taleem ka parcham lehra kar
Main Sir Syed ban jaoon ga
Baikhar mubanoon umar bhala kuoon
Apnay ghar main parhay parhay
Mein chota sa ek larhka hoon
Par kaam karoon ga barhay barhay
Main charoon taraf pehlaoon ga
Iqbal nay jo paigham diya
Main hi woh parinda hoon jisko
Usnay Shahbaz ka naam diya
Apnay androon say chamkay gay
Sub hiray moti jarhay jarhay
Mein chota sa ek larhka hoon
Par kaam karoon ga barhay barhay |
|
|
| |
|