Solo :: Group :: Golden Hits :: Kawali :: Folk :: Ghazal :: Remix :: Wedding :: Children :: National :: Religious

Hamd-O-Naat :: Drama & Film (Songs) :: Mazahiya Khakay :: Kahaniyan :: Lyrics :: Midis

>> Download Pakistani Music MP3s <<


Pakistani Songs Lyrics

             
 

Sponsored Links

 
             
 

Sponsored Links

 
 

Lyrics - Awaz - Jadoo Ka Chirag

     
 

Aaya hoon main door ki raahon say,
Jangalon kay jadoo bharay ghaaron say,
Paar kiay main nay darya kaee,
Teray liyay dekhi hai yeh duniya naee,
Saat samandaron ki teh main gaya,
Kaisay kaisay khatrorn ko mol liya,
Pyaar ka moti main nay chamkaaya,
To phir kahin jaakay main nay tujhe paaya

(Chorus)
Tu, meray liyay, jadoo ka chiragh hai,
Tujhe dhoondun har su
Yeh to bataa, paani hai keh aag hai,
Kahaan khoya hai tu.....

Paani hai to meetha meetha paani hai,
Aag hai to meethi meethi aaga hai tu,
Jab kabhi khoya main andhairon mein,
Deep jalaata huwa raag hai tu,
Chaand mein dekhun tera chehra main,
Kalyon mein chupi huwi tu khushboo,
Raat mein bhoola huwa raahi main,
Raah dikhaata huwa tu jugnu.

(Chorus)

Jadoo ka Chiragh....Jadoo ka Chiragh,
Tu jugnu hai, tu khushboo hai,
Jadoo ka Chiragh

Aaya hoon main, jaana bhi hai door mujhe,
Paana hai Chiragh zaroor mujhe,
Jadoo ka Chiragh.....Tu manzil hai,
Jadoo ka Chiragh.....Tu mera dil hai,
Tu jaadoo, khushboo, jugnu har su,
Teray liyay yahaan tak aaya hoon,
Apna main tujh ko banaaunga,
Main tujhe laikay hi jaaunga!

Chorus x 3

Jadoo ka Chiragh.....Jadoo ka Chiragh

 
 

Sponsored Links


Make Us A Home Page | Bookmark Us | Our Network | Contact Us


Copyright (C) - Paki.Ws - All rights reserved  .:: Privacy Policy & Desclaimer ::.