Hamari sanson mein aaj tak woh hina ki khushboo mehak
rahi hai,
labon pey naghmey machal rahey hain nazar se masti chalak rahi hai;
woh mere nazdeek aatey aatey haya se ek din simat gaye they,
mere khayalon mein aaj tak woh badan ki dali latak rahi hai;
sada jo dil sey nikal rahi hai woh sher o naghmon mein dhal rahi
hai,
kisi key angan mein jesay koyi ghazal ki jhanjhar chanak rahi hai;
tarap mere beqarar dil ki kabhi toh un pay asar karey gi,
kabhi toh woh bhi jalein gey iss mein joh aag dil mein dehak rahi
hai;
humari sanson mein aaj tak toh woh hina ki khushboo mehak rahi hai,
labon pey naghmey machal rahe hain nazar sey masti chalak rahi hai;