Naraaz Hum
Kaisay mitain phir dooriyan
Hum muntazar
Tum Baykhabar
Dono ki hain majbooriyan
Naraaz Tum
Naraaz Hum
Kaisay mitain phir dooriyan
Hum muntazar
Tum Baykhabar
Dono ki hain majbooriyan
Hojaye apna agar kabhi samna
Tum meray chahray ko zara ghor say dekhna
haan ghor say dekhna
Aur phir sochna
Phir sochna
Kya baat thi jiski saza hum ko kahan tak laygayee
Chehron say rang
Ankhon say khaa
Sub kuch ura kar laygayee
Kuch khonay ka agar tum ko ahsaas ho
Beetay dino kay lautnay ki tum ko bhi aas ho
Haan tumko bhi aas ho
To chalay aana
Chalay aana
Mat sochna
Mat poochna
Uthtay kadam mat rokna
Nata humara dil ka tha
Kehna bhi dil ka maanna
Naraaz Tum
Naraaz Hum
Kaisay mitain phir dooriyan
Hum muntazar
Tum Baykhabar
Dono ki hain majbooriyan
Naraaz Tum
Naraaz Hum