| |
|
Hai Hai Yeh Majboorii
Yeh Mausam Aur Yeh Doori
Mujhe Pal Pal Hai Tadpaaye
Teri Do Takiyan Di Naukri
Re Mera Lakhon Kaa Saawan Jaaye
Kitne Saawan Beet Gaye
Baitha Hoon Aas Lagaaye
Kiss Saawan Mein Mile Sajanya
Woh Saawan Kab Aaye Kab Aaye
Madhur Milan Kaa Yeh Saawan Hathon Se Nikla Jaaye
Teri Do Takiyan Di Naukri
Re Mera Lakhon Kaa Saawan Jaaye
Prem Ka Aisa Bandhan Hai
Jo Bandh Ke Phir Naa Toote
Naukari Ka Hai Kya Bharosa
Aaj Mile Kal Chhoote, Kal Choote
Ambar Pe Hai Dhara Swayam Aur Phir Bhi Too Ghabraye
Teri Do Takiyan Di Naukri
Re Mera Lakhon Kaa Saawan Jaaye |
|
|